Wednesday, November 11, 2026

RAMAYANA PART - I

RAMAYANA PART - I
Reviewed by: ARINDAM SAIN

Bhramha ne banaya Devta aur ASUR; ish mein insaan o ka kya KASUR. Apni gaddi sambhaalo KUBER; kyon ki Lanka mein der hain, nahi hain ANDHER. Chorho yeh sangeet aur SUR; Raja ki tarah shinghashan mein baitho, bann ke ASUR. Kaun hain yeh, kyon kar raha hain itni kadi TAPASYA; Bhramha ko aana pada poochne, kyon ki yeh bann gayi thi gambhir SAMASYA.

Amar tum zaroor rahoge ABASYA; lekin ahankaar mein bhool gaya ek shabd, woh hain 'MANUSYA'. Jo tha kabhi DASHANAN; aaj woh banaa Raja RAAVAN. Indra ne bhi maan liya HAAR; Vishnu ne kaha, 'phir janam lega mera ek AVATAR'. Rokna toh pdhega hee har taraf yeh ATYACHAAR; Raja Dasharath ke ghar mein paida huye ladke, woh bhi ek nahi, do nahi, chaar CHAAR. Bharat, Lakshman aur Shatrughna hain teen o ke NAAM; sab se jyesth putra hain Vishnu avatar, RAM.

Kaun banegi Sita ki yogyo PATI; swayambhar mein Ram saayed nahi jaate, agar usse mulakat na HOTI. Kaat gayi sab yuvraj o ka NAAK; lekin Ram ne utha liya 'PINAAK'. Ho gayi Lakhsman ki bade bhaiya ki SHAADI; lekin woh dhanush kyon torha usne, aab toh Prashuram na shuru kar de BARBAADI. Pehchaan liye Ram ko, PARASHURAM; ek dhanush diya Ram ko, le ke Vishnu ka NAAM.

Bachan na jaaye, chaahe chali jaaye PRAAN; Manthara ne joh zehar ghola, woh Kaikeyi ne kar liya PAAN. Ayodhya vaasi o bhi samajh gaya, ki kya ho gayi SARBANAASH; Bhagwan Ram, Sita Maayia aur Lakshman ki ho gayi VANBAASH. Chal base Ayodhya NARESH; sab ke mann mein hain KLESH. Udhaar Lanka mein jisko praapt huyi VEERGATI; woh tha Surpanakha ki PATI. 

Kis ke prem mein gira yeh ladki, jiske bhai ka naam hain VIBHISHAN; uski naak kyon kaat diya LAKSHMAN. Pratisodh lene aaye teh rakshas, lekin ek bhramastra teer ne aisa uthaaya TUFAAN; maano dharti knaap utha, jitne bhi rakshas teh, sab ki chali gayi PRAAN. Mohit ho gayi woh bholi AURAT; kyon ki woh hiran laag rahi thi bahut KHUBSURAT. 

Lakshman ko samajh aa gaya poori mayaabi CHAAL; Sita Maaiya ko kaise samjhaaye, Lakshman ko jhelna padaa bahut saare SAWAAL. Ghar ke chaaron taraf laag gaya 'Lakshman REKHA'; Rakshas Raja ne bhi woh cheez apne andaz se parakh ke DEKHA. Yeh Rakshas ne saadhu ke bhesh mein, sahi mein bol diya MANTRA; Janak putri Jaanaki samajh naa paayi iske peeche kya hain SHARAYANTRA. 

Aasmaan mein udh chala 'PUSPAK'; lekin Jatayu ladhta raha apne aakhri dum TAK. Agar Raavan ko nahi milaa hota Bhrahma ka VARDAAN; Jatayu hee le leta uska PRAAN. Zindagi badi honi chahiye, agar lambi bhi na ho AAYU; hamesha sab ke dil mein zinda rahega yeh veer gaatha, yug yug jeeyo tum JATAYU. 

Jatayu na mar te samay bola, 'tumhare saath kaun hain RAM'; samay ke saath saath uska jawaab bhi milega, sawar karo, sankat mochan 'Bajrangbali' hain uska NAAM. "RAMAYANA PART - I" toh chingaari hain, sirf hain pehla BHAAG; yeh abhi dekhlo sab log, baad mein hawaa jab ish mein laagegi, tab Lanka mein Bajrangbali lagaayega AAG.


No comments:

Post a Comment